Kya larke ke lia wali muqarrar karna zuroori he?

Q: Mere shadi agle mahine mere khala (maternal aunt) ki beti se he. Mere walid ka inteqal hogaya, hamare ghar me mere ammi, mera bhai (17 years), meri bahen (23 years) he. Hamare paternal uncles (taya, chacha) se contact nahi he, hamare mamu hamse baat nahi karre kyunki hamne unki beti se shadi karne se inkaar kardiya tha.

1. What is the meaning of wali and witness while performing nikah?

2. Who can be my wali and witness?

3. Nikah ke waqt kya me apne ammi ko wali bana sakta ho?

4. Nikah ke waqt kya me apne susre (father in law, khalu) ko witness bana sakta ho?

5. Kya mera bhai (17 years age) witness ban sakta he?

6. Kya mai witness aise musalman ko banasakta ho jo mera rishtedaar he magar namaz kabhi kabhi padta he aur durga jata he?

7. Kya Qazi sahab witness bansakte he?

8. Kya meri dulhan ke gawah aur mere gawah wo hi log hosakte he jo mere he?

9. Kya wali bhi witness hosakta he?

A: Larke ko wali muqarrar karne ki dharoorat nahi aur nikaah ke waqt jitne log moujood he musalmaan baaligh mard woh sab aapki shaadi ke gawaah he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels