Q: Mere shaadi ko 21 years ho gaye. Mera 20 years ka beta aur 16 ki beti hai main ek Alhamdulillah deendaar aurat hoon. ghar ka maahol aur bachchon me aur shohar me bhi deendari hai.Mera ek ajeeb masla hai jis ki wajah se main bahut ziyada pareshan hoon.Shaadi ke 21 saal se mujhe in sab baaton ki aadat hai lekin aaj kal bahut kuch bardasht nahi kar paati.Sehat bhi sahi nahi rahti. Mere shohar ka mizaaj saqt hai jo mere liye aadat ban chuki hai.lekin din ba din haalat aur bi bura ho raha hai.Bina wajah mujh se gussa ho ke 3-4 din baat nahin karte kitna bi koshish karoon nahi maante,aisa mahine me 4-5 baar karte hain.ghar ke bahar ki pareshani ho to bhi aisa karte hain.mere baare me kabhi bhi achchi baat nahi karte,mere taraf muhabbat se dekhte bi nahi.Khbhi bi mere takleef ke baare me nahi samajhte agar kuch bi kehne ki koshish karoon to mujhi per baat pher dete hain.mujhe in sab ki aadat hai lekin main janti hoon ki shohar ka martaba bahut bada hai agar wo khush nahi to main jahunnami ban jaaongi maine dunya ki zingagi ko kabhi bi ahmiyat nahi di mera pehla maqsad mera aaqirat hai mere shohar ke rawayye ki wajah se mere dil me unke liye muhabbat kam hota jaa raha hai main kuch bi nahi kar pa rahi hoon siway Allah se dua ke. agar aisa hi chalta raha to mere ibadaton ka,mere aaqirat ka kya hoga? kyun ki agar shohar naraaz to main waise hi barbad hoon.to main kaiser is masle ko handle karoon?bewajah shohar ki naraazgi bi nahi chaahiye aur mujhe meri aaqirat mukammal tariqe se banana hai.Ab in sab ki wajah se ibadaton me kotahi ho sakti hai aur mujhe bahut pareshan karti hai ke shohar hi raazi nahi to Allah mujhe nahi bakshega.maine mere shohar ke liye jo bi qurbaniyan di hai Allah jaanta hai. Mufti Sahab aap naseehat kijiye ke main meri aaqirat kaise banaaon main shohar ko to nahi badal sakti.
A: Aap apne deen ke oopar madhbooti se jame raho zarra baraabar kamzori ne dikhaao. Pehle zamaane me bare auliyaa par bhi is qisam ki aazmayish aye woh jame rahe yahaa tak ke Aasiya jo Firoun ki ghar waali thi unke oopar itne sakht aazmayish aayi ke jaan bhi dedi. Phir Allah uski taareef aur madah farmayi aur aakhirat me woh Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ke sath hogi. Kis qadar bari fakhar ki baat Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ki ma`iyyat aur saath hona. Rozana Qur'aan Shareef ki tilaawat kar ta`leem ke saath subuh shaam aur zikr aur du`aa bhi karti rahe.
Ye bhi saat martabah parhle: "Yaa Subboohu Yaa Quddoosu Yaa Ghafooru Yaa Wadoodu" aur uske khaane peene ki cheeze par dum karlo aur khud uspar bhi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: