Ihraam napaak hojaane se ghusal waajib hota he?

Q: Ager kisi shaks ko jiryan ki bemari hy aur os ko peshaab ky baad drops aty hein tu kiya wo napaak ho ga and kiya ghusl karna wajib ho ga ya ni?

A: Jis hissa par peshaab ka qatra laga ho woh napaak hoga usko dhona dharoori he. Poora jism ka dhona dharoori nahi he. Albatta qatraat nikalne se wudhu toot jaata he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)