Q: Aik website hai ProTypers ke naam se ye webite hamain captcha enter kerne ke paise dete hai captcha se murad woh picture jis me koi code diya gaya ho misal ke tore per english ka koi word jo ke aik se bhi ziyada ho sakta hai esi captcha kehte hai or ye captcha internet per batore security use hota hai or ye website hamain 1000 word images typed kerne per $0.45 dollar dete hai or ye paise barh bhi sakte hai or ye website hum se kaam shoro kerne se pehle or kaam shoro kerne ke bad koi paise bhi nahi lete sirf account bana ker kaam shoro kerte hai lekin ye website jo hamain 1000 word images typed kerne per $0.45 dollar dete hai in ka rate uper neche bhi hota rehta hai is rate ke timing hote hai jese subah 9 se 10 $0.45 or raat me 9 se 10 $1.45 dollar to kiya aise paie kamana jaiz hai ya na jaiz or ye bhi bataeye ga ke is website se paise kamana jaiz hai ya nahi or ye jo captcha me apko bata raha ho ke captcha kiya hota hai ye captcha apke webite me bhi hai...
A: Durust he ba shart ye ke jo aap type karta he usme koi buraai nahi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: