Q: Mra ek masla ha ap please rehnumai farmaen. Meri choti behan ki shadi hone wali hai or shadi shari tariqay se nahi horhi hai partition hoga par proper nahi or photographer b aega. Ab ap mujhe bataiye k mujhe shadi ma jana chahie ya nahi?
A: Ayse shaadi me har giz nahi jaana chaahiye.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
(Scroll down for more information regarding this question)
Answered by:
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Q: Mere mana krne k bad meri behan mujh se naraz hogai hai aur jhagra bhi hua hai. Ab ap btaiye k main kya karun?
A: Unko kahe ke naraaz hone ki koi dharoorat nahi. Aap unse koi dushmani nahi. Ye shar`ee wajah se aap haadhir nahi ho sake. Dosti apni jageh par he aur pehle se bhi ziyaadah he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
(Scroll down for more information regarding this question)
Answered by:
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Q: Mujhe ye puchna tha k mane apni sister se bat ki thi ab photography nahi hogi or partition bhi hoga. Asi surat mein kya krna chahie mujhe?
A: Agar shariat ke tamaam umoor ka lihaaz rakha jaata ho aur tujhe usme poora itminaan ho ke ye intizaam saheeh he apni baat ke oopar pukhta aur uske khilaaf nahi karenge to aap jaa sakte he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: