Q: Me ek IT company me working hu, married hu mjh bht hi kam tym milta h ibadat ka , kya aap mjh bata sakte h ki minimum kya ibadat zaruri h agr hmne roza rakha h to use pura krne k liye, me monday thursday ka nafil roza rakhti hu.
Isk alawa mera sabse badi parishani h ki mera man nhi krta namaz padne ko mere shoar b bht bolte h but me unk khne p padti b hu to adhe man se. ek saal phle tk mera niyam tha ki km se kam ek bar yaseen to pad hi leti thi but ab wo b dil nhi chahta kuch solution batae mjh khuda k kehar se dar to bht kgta ki na jane meri is harkt se kya saza milegi but tab b me pure man se kuch nhi kr pati.
A: Bari afsos ki baat he ke jo rozi bakhashne wala he uske liya aapke paas waqt nahi he aur apni zaat keliye itna ziyaadah waqt aapko mil raha he. Samajhdaari ki baat ye he ke jo bakhash raha he usko ziyaadah se ziyaadah do. Namaaz waqt ke oopar adaa karo, Qur'aan Shareef ki tilaawat achche miqdaar subuh shaam karo, zikr aur durood shareef rozana kare aur kisee buzurg ki kitaab ki taleem subuh shaam ke karo.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: