Published 6 years ago
Last updated 5 years ago
Q: Qaza namaaz kaise waapas adaa kiya jaye?
Aur fajar ki jaamat agar choot gaya to kya usse zohar azaan ke pehle kisi waqt bhi par ha jaa sakta kya? Misaal ke towr par aath se baara tak?
A: Agar namaaz nahi parhi gayi aur us ka waqt guzar gaya, to wo namaaz qaza hogayi. Us ki qaza jaldi parhe aur Allah Ta'ala se tawba kare namaaz ko qaza karne ke liye. Aainda har namaaz ko waqt par parhe.
Agar ussy din ki fajar namaaz ki qaza parni he, to agar zawaal se pehle parhe to fajar ki do sunnat pehle parhe phir fajar ki do fard parhe. Lekin agar ussi din ki fajar namaaz ki qaza zawaal ke bad parhe ya kisi aur waqt me parhe, to wo sirf fajar ki qaza parhe.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: