Sufed discharge

Q: Mujhe basa auqaat aisa discharge nikalta hai jise ghaur se dekhne par hi maloom hota hai ke ye bahut halka sa peela hai, yaane mai agar sarsari dekhloo aur zyaada ghaur o fikr na karoo to wo safed ya transparent hi dikhta hai.

1. To mujhe is discharge ko safed shumar karna chahie ya peela?

2. Mujhe bleeding bhi hoti hai to phir chunke ye discharge bhi hota hai to phir haiz shumar kise karna chahie?

A:

1. Jo safed nazar aata ho to usko safed shumaar karo.

2. Discharge aur bleeding dono najasat he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)