Deen ke umoor ko halka samajhna ya mazaaq uraana

Q: Mene apne shohar ko bola k ye baat kalima kufar me ati ha k "acha ha jahanum me jaenge k filmi adakaraen bhi wohi hongi maza a jaega" jawab me mere shohar ne mazaq me kaha k "han ye to ha". Kia mere shohar ne kalma kufr bola? Kia hmare nikah par is se farq para?

A: Deen ke umoor me istikhfaaf aur kisee cheez ko halka samajhna ya uska mazaaq uraana ye bohot hee khatarnaak he. Us se sakht ihtiyaat karna chaahiye aur istighfaar karna chaahiye. Aaindah us se baaz rahe. Ihtiyaatan kalimah ki tajdeed bhi kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: