Mustaqbil alfaaz se kiya talaaq hoti he?

Q:

1. Ek raat ko meri biwi se behs huwi aur mene use kaha “tum dekho me tumko subah paper behj dunga/behjta hu” toh kiya isse talaaq hogi?

2. Ye jo alfaz upar bole he kiya ye mustaqbil ke alfaz me shumar honge?

3. Akhri bat ye poochni he ke agar insan ki talaq ki niyat ho aur agar wo talaq alfaz mustaqbil ke alfaz ke saath ya wadah-e-talaaq ke alfaz ke saath kahe to kiya us case me talaaq hoti hai?

A:

1. Nahi.

2. In alfaaz ki koi haysiyat nahi.

3. Wadah ya mustaqbil bila shart ho to us se talaaq nahi hoti.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: