Shohar doosri mulk me mar jaye to kiya nikaah khatam hoti he?

Q: Me sunni hu. Ek larki ki nikah ek larka se huwa ghar wala ke raza mandi se aur 4 sal me 2 bache bhi huwe. Phir is aurat ka shohar kaam ke silsile se bahar jata he aur death ho jata he. Phir uska nikah uske chote bhai yani aurat ke dewar se hota he ghar walo me raza mandi se hi shadi hone ke baad woh larka aisa sochta he ke pehle wala shohar ke nikah me he kiyun ke woh death ho gaya he phir kabhi aisa ho woh zinda bhi ho sakta ho aisa lag raha he to phir us aurat ke pehle wala ke sath jo nikah huwa he woh khatam kaise hoga kiyun ke shohar death ho chuka he. Phir ghar pe nahi huwa ho sakta ho zinda bhi ho to usse nikah torne ke koi tarika he kya kyun ke hum log ko pata he mard talak de to nikah tutta aur pehla mard he ya death ho gaya pata nahi koi aisa solution he jo nikah toot jaye?

A: Jab who mar gaya aur ye khabar saheeh he aur sab ko pohonch gayi to pehla nikaah khatam ho gaya. Khwa ma khwa shubhaat aur auham jee me nahi laana chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: