Zakaat us jewellery par jo bachi ko dena ke liye rakha huwa he

Q: Mujhe divorce huwi he aur humare aik 7 saal ki beti he. Is ko dene ki niyat se jo gold ki jewellery rakhi he us par zakaat ho gi ke nahi?

A: Agar aap ne ye gold apni bachi ko de diya to wo bachi ki milkiyat hogayee. Jab tak wo baaligh na hojaai zakaat us par waajib nahi he. Lekin agar aap ne apni bachi ko ye gold nahi diya balke aap ka iraada he ke jab wo bari hojaaigi to us waqt aap us ko dengi, to is surat me ye gold aap ka he aur us par zakaat waajib he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)