Talaaq kaise dena chahiye?

Q: Talaaq kaise dena chahiye?

A: Aap pehle apne khaandaan ke bare se mashwarah kare. Sulah safaai ki koi surat baaqi na rahi ho to phir talaaq dene ko soche. Aur talaaq dee jaati he tahaarat ki haalat me jisme koi hambistari nahi huwi ho. Eik hee talaaq dee jaaye is talaaq ko kehte he raj`ee. Jab sareeh alfaaz ke saath usko ada kya jata ho to rujoo karne ka ikhtiyaar baaqi rehta he iddat ke andar.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: