Q: Mere husband ke mere maikay walon se ikhtilaf hain or meri walida ab bohat bemar hain wo wahan janay ni de rahy mujhy.. Kehty hain kisi zimmedar insan ko bulao family sy jo aa ke guarantee de or main phir terms and conditions py bhejun ga otherwise agar khud jati ho to wapis nahi ao gi. Mujhy is py rehnumai chahye mjhy kya karna chahye?
A: Shohar ka ye tariqa bilkul ghalat he aur sunnat ke khilaaf he. Shariat me biwi ka haq he ke hafte me maa baap se eik dafa jaakar ke mile. Ab jab biwi ki waalida bohot bimaar he aur us ki khidmat ka muhtaaj, to aur bhi ziyaada zaroori he ke wo us se mile aur us ki khidmat kare. Shohar ke liye is tarah paabandi lagaana zulm he aur ghuna ke baais he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: