Published 3 years ago
Last updated 3 years ago
Q: 1 shakhs ki 2 wife ha. Dono aik room me aik sath sote ha. Right me aik wife aur left me aik wife. Kya dono biwi ko alag ghar ya room dena zaruri ha? Humbistri ka qakt dono wife alag alag room me hote ha. Kya ye durust ha?
A: Ye tariqa saheeh nahi he. Shariat ka hukm he ke eik aurat doosri aurat ke satar ki jaga ko na dekhe. Agar wo dekhe to wo ghunegaar hogi. Jab shohar dono biwiyo ko eik hee kamre me theraate he aur sulaate he, to mumkin he ke raat me shohar kisi biwi ke saath qareeb hoga aur humbistari karega. Doosri biwi ke saamne humbistari karna jaaiz nahi he. Lihaza shohar ko har biwi ke liye alag kamre ka intizaam karna chaahiye.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: