Baap ka ye kahna ke marne ke baad saari jaidaad beto ko diya jaaye

Q: Agar baap ye kahe ke marne ke baad saari jaidaad beto ko diya jaaye, aur wo betiyon ke naam par kuch na lagaaye, phir wo fout hojaaye, to kia baap ke marnay ke baad bhai poore meeraath milega?

A: Jab Khuda Ta`ala ne meeraath ke hisse ko muta`ayyan karliya to kisee ko haq nahi pohonchta ke isme kisee qism ki ziyadati kare. Aur agar kisee ne ziyaadati ki to usko radd kya jaayega aur Khuda Ta`ala ka meeraath ka qaaidah jaari hoga. Usme bachche ko milega aur bachchiyo ko bhi. Agar marhoom ki biwi bhi zindah he to usko bhi hissa hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)