Bhai bhen ek ghar me reh kar electricity bill waghaira ko aapas me taqseem karna

Q: Aik ghar me 3 afraad kamany waly hain jis me 1 bhai aur 2 behny hain. Bhai shadi shuda hai aur us k 2 bachy hain. To kia jo bill aaty hain (electricity + gas) wo teeno per taqseem hongy ya aik per, istamaal to teeno krty hain.

A: Behter ye he ke wo sab bill aapas me taqseem kare. Har eik apne istemaal aur faaida uthaane ke mutaabiq bill ka hissa adaa kare. Jo bhai shaadi shuda he aur us ke do bacche he, agar wo ziyaada istemaal kar rahe he, to wo apne istemaal ke mutaabiq bill ka hissa adaa kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)