Khwaab ki Tabeer

Q: Main nay khuwab dekha k ek admi or ek aurat hai admi ko main marnay bhagti ho tu wo bach jata hai nikal jata hai or aurat ko pakar layti hoon or bohut bohut bohut marti hoon ussko phir ek shakhs dekha jo mujhay khuwab may lag raha hai k ye nabi pak hain jo mujhy keh rahay hain ke bus chore do is aurat ko or nagawari ka ehsas hai uss aurat ke liye or chehra mubarak nahi dekha. Main nay chehra mubarak doosri taraf kar k ye bola hai nabi pak nay or akhir main may uss aurat per bara sa pathar phainknay wali ho jab ap nay ye farmaya ke bus chore do iss ko or main nay un k kehnay per chore diya.

bismillah.jpg

A: Khaab ka ma'na ye he ke aap ku chahia ke Allah ke taqdeer se kush rahe owr Sunnat wali zindagi guzaarde. Issy tarah gheebat owr logo ku takleef dene se bache. Nabi (Sallallahu Alyhi Wasallam) ku takleef phonchti he hamare bure A'amaal se.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: