Asr namaaz ke bad, tawaaf ke do rakaat parhna

Q: Asar namaz ke baad, Maghrib se pehle to us waqat namaz parhna makrooh hota hai. To Tawaf-e-ziyarat mai 7 chakar pure karne k baad, maqam-e-ibrahim par 2 rakat nafl parh sakte hain yaa nahin? Agar parh liye 2 rakat Asar namaz k baad Maghrib namaz se phele, to koi masla to nahin? Hajj qabool hoga yaa nahin?

A: Hajj poora hogaya, leikin tawaaf ki ye do rakat us waqt (asr namaaz parhne ke bad) na parhe, balke ye do rakat maghrib ke bad parhe. Agar kisi ne us waqt parh liya, to namaaz ada hogi leikin karaahat ke saath. Lihaza aadmi ko chahiye ke wo taubah kare aur aaindah is se ijtinaab kare. Baz fuqaha jeise Saahib-e-Lubaab ne farmaaya ke agar kisi ne asr namaaz parhne ke bad in do rakat waajibut tawaaf parh liya to us ke liye behter he ke wo in do rakat ko maghrib ke bad iaada kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)