Fana-fir-Rasool ka matlab

Q: Shariat ki lughat me Fana-fir-Rasool ka matlab kya hota hai?

A: Hadhrat Rasul Paak (sallallahu alaihi wa sallam) ki mahabbat ka is qadar inhimaak ho jaaye ke har waqt jee me ye kayfiyat ghaalib rehti he ke konse a'maal se Allah ke rasul (sallallahu alaihi wa sallam) khush hote he aur kis waqt konse a'maal aur konse akhlaaq ko aap pasand karte. Ya is tarah samjhe ke apni raai aur apni khwahish ko khatam karde aur Allah ke rasul (sallallahu alaihi wa sallam) ki khwahish aur chaahat ko apne oopar ghaalib rakhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)