Aurat ki haidh ke bad humbastari kare phir dobarah haidh ajaye to kiya hukm he?

س: سوال یہ ہے کہ اگر بیوی ماھواری کے بعد غسل کر لے اور شوہر ہمبستری کرلیں اور ہمبستری کے بعد دوبارہ خون آجائے تو کیا حکم ہے

A: Fuqaha ne likha ke agar aurat ke haidh ke khoon aadat ke ayaam se pehle band hojaaye, aur aurat ghusal kare, to miya biwi ke liye humbistari karna jaaiz nahi he agarche khoon band howa, kyoonke ihtimaal he ke khoon dobaara shuroo hoga. Agar miya biwi humbistari kare, to dono ghunegaar honge.

Leikin agar haidh ke khoon aadat ke muwaafiq band huwa aur biwi ghusal karle, to us ke bad miya biwi ke liye humbistari karna jaaiz he. Agar khoon us ke bad do baara jaari hojaaye, to phir miya biwi humbistari se baaz aajaaye. Leikin jo humbistari huwi, wo us se ghunegaar nahi honge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)