Khwaab ki Tabeer

Q: Main ne ek khowab dekha hai do din phalay k meray istitute jahan main pharti hon wahan pata ni koi function hota hai tu meray sub ghar walay aye hotay hain k achanak koi daku type log atay hain aur logon say un k mobile snatch karnay lag jatay hain meri ami say b kartay hain meray pass atay hain lakin meray mobile ko pakar kar mujhay wapis kar jatay hain us k bad hum sub wahan say bhagtay hain aur kisi hotle main ja k room main a jaatay hain wo log wahan b atay hain lakin hum logon ko kuch ni khatay hum sub save hotay hain aur hamary pass jo mobile phone hotay hain hum un mobile phones ko un say chupa letay hain. 

bismillah.jpg

A: Hamesha saheeh suhbat me rehne ki kowshish kare. Owr purdah ka ihtimaam kare. Cellphone owr internet do aala he jis ke zariye insaan ke Aklaaq owr Deen churai jaa sakte he. Khaab ke andar kabi dushman se muraad ghalat qisam ka taalluq owr bad Deen lowg jo insaan ke Deen owr aklaaq barbaad kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: