Q: Aaj se taqreeban 5 din pahle hamare dost ki wife ne hamare mutaaliq ek khwab dekha ki mera inteqaal ho gaya hai. Usi din hamari badi behen ne bhi aisa hi khwab dekha. Maine kuchh sadqa kar. 2 din baad hamari dusri badi behen ayi to unko khwab ke baare main bataya to unhone bola ki unki beti ne bhi aisa hi khwab mere baare main dekha hai. Phhir tisree baheb ki beti ne bataya ki maine bhi 1 maah pahle aisa hi khawab dekha hai. Aaj ko meri bhateeji jo puna main rahti hai usne bhi bataaya ki maine bhi aap ke baare main aisa hi khawab dekha hai. To janab aap se hamari ghuzarish hai ki in khwabon ki tabeer kya hai pls bataaye.
A: Aap ku ghabrane ki baat nahi he kyu ke intiqaal se hamesha maut muraad nahi hota he. Balke intiqaal se kabi safar muraad hota he ke app safar kar chuke ya unqareeb aap kahi safar karne wale honge. Kabi intiqaal se ayk haalat se dowsri haalat ki taraf muntaqil hona jeyse kisi ku achi masdoori miljaana ya pareshaani ki haalat se aasaani ki taraf muntaqil hona ya gunaah wali zindagi chowr kar neaki ki zindagi ki taraf jaana.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: