Published 3 months ago
Last updated 3 months ago
Q: Agar koyi batun mein bole hum sab hindu hain asal mein. Phir meine unko bola kya matlab aapne kyun aisi baat kahi yeh kufr hai. Mein yeh historical context mein bolraha hun. Ki kashmir mein hum sab hindu the pehle baad mein musalman bangaye. Toh kya yeh bolne se insaan kaafir hojayega.
A: Kaafir nahi huwa, leykin aisa nahi bolna chahiye. Agar historical baat bataani thi, tho is tarah kehna chaahiye tha ke hamaare baap daade hindu the, magar alhamdulillah hum musalmaan he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: