Wakeel bananay ka tarika

Q: Wakeel bananay ka tarika kya ha? Matlab agr Kisi ko kisi kam ki wakalat deni ha to us ka kya tarika ha? Kin alfaz sy wakalat hoti ha? 

A: Agar koi shakhs kisi ko jaaiz kaam karne ke liye apna wakeel banana he (masalan roti aur dhoodh khareedne ke liye kisi ko apna wakeel banana) to woh us aadmi se kahe ke me aap se yeh chaahta hu ke aap mera wakeel ho jaawe us kaam ko poora karne ke liye. Agar woh aadmi wakaalat ko qabool kare aur us kaam ku karne ke liye tayyaar ho jaaye to wakaalat durust he aur agar woh naa kahe to wakaalat durust nahi hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)