Roti akhbaar me lapetna

Q: Mera aap se ye sawal ha k hum bazar se tandoor se roti laty hain wo hamko akhbaar me roti lapet kar deta ha aksar akhbaar me Allah ka nam qurani ayat ka tarjuma hadith or islamic bat hoti ha. Kia ye jaiz he or is akhbaar ka ham kia karen kia isko ham jala sakty hain ya is akhbaar ka kia kiya jaye behter hal batain?

bismillah.jpg

A: Yeh bilqul jaaiz nahi hai ke aisy akhbaar (jisme Allah Ta'ala ka naam ya Rasulullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka naam ya Quraani aayat ya Hadith ho) istimaal kiya jaaye aise  kaam ke liye. Aisy akhbaar adab se parhi jaaye aur kisi uunji jagaa par rakhi jaaye adab ke saat. Agar unka istimaal nahi hai to unko dafan kiya jaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: