Khwaab ki Ta'beer

Q: Meri begum ne khawaab dekha hai baroz hafta subah 6:00 se 6:30 k darmiyaan unke ghar per safed chadren bhich rahi hai or unke waalid aaye hain jo ki abhi 2 nov ko wafaat paa gaye or wo unke saamne aa ker baith gaye hain to yeh unka haath paker ker apne pass bula ker baitha leti hain or unse rote hue kehti hai k aap hum logo ko chor ker kahan chale gaye to wo kehte hain k aap log udaas mat ho mai khush hoon or sabko ek na ek din jaana hai yeh keh ker wo kisi se baat kerne lagte hai jo inko nahi dikhta phir inki taraf mukhaatib hoker kehte hain tumko bhi 9 saal 3 mahine baad aana hai or phir kehte hain k mai ab jaa raha hoon meri ek or family mera intizaar ker rahi hai mujhe unse milne bhi jaana hai to yeh roo ker kehti hain mai aapko nahi jaane doongi itne me wo ghayab ho jaate hain or yeh neend se uth jaati hain or inke aakhoon se asoon nikal rahe the.

bismillah.jpg

A: Khwaab ki tabeer ye he ke mayyit Allah jki rahmat me he owr kush haali me he. Owr wo apne khaandaan ke logo ku naseehat kar rahe he ke wo apne zindagi ku badal de owr aakirat ke lia tayyari kar le.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada


Q: Mufti sahab isme ghabraane waali to koi baat nahi wo jo time inko bataya hai uska kya matlab hai?

bismillah.jpg

A: Us ki taraf dihaan na do kyun ke har cheez khwaab main mutabir nahi hota hai.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada