Khwaab ki Ta'beer

Q: Mein ne Khwaab mein dekha keh mein ek floor pe kara ho aur mere haath mein ek gun hain aur mein gun se pigeon ko marta ho aur wo pigeon ek dosray floor pe gher jaty hain aur baresh bhi hor rahi hoti hain to mein baresh mein zameen se 1 meter k faslay pe fly walk start karta ho aur dosray  ghar ke kareeb jata ho jaha pe pigeon gerra huwa ta to mein stair pe climb karna shoro karta ho jub last pe jatta ho to mein stair ke last se ek cat ko marra huwa dekhta ho to dekhne ke baad mein pher wapas ana shoro karta ho to mein wapas aajata ho baresh mein baresh normal baresh hain stormy nahi hain aur pher dream khatam hojata hain agar ais ka koi matlab hain to pher share kare.

bismillah.jpg

A: Mushtabah kaamo aur mushatabah maal se parhez karo. Jahaan tumhe shak ho to us kaam main aur us maal (yani tijaarat waghairah) ke ander parne se parhez karo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada