Khwaab ki Ta'beer

Q: Mene subha ke waqt khuwb mein dkha meri khala kehti hen tmhri ami hajj sy acha saman lae tofhey ka. Me sochti hun k mjh to kch mla he nhe. Phr achanak nazr ata hy k ghar k angan mein bahar gifts ki shoper pari hoti hen bhar sham ka waqt hota hy halki roshni jaise magrib ka waqt ho raha ho. Mein shoper mein gifts dkhti hun aur sochti hun k ab hajj ko bht din hogye ye gifts ab kia diengi ye wo saman nh jo mjhy chaiye. Me sochti hun ami to lipsticks bht ache lae thien bt yhn to wo nh hen. Phr koi chez mlti hy gift wale shoper sy me dkh rae hoti hun aur pta nh kia sochti h tn khala kehti hen k rakh lo apne liye ye. Tb achanak manzar bdl jata hy me shayad mjh yad nh thk tawezaat ka sochti hun k kiye hen. Lakin mjh apna chehra nazr ata hy bht gora par kch daney hote hen mu py n nishaan unk jo esa lg raha tha sukh rahe hen. Ek ya do din mein thk hojae ga mu aur chehra bilkul thek ho jae ga. Mjh eski tabir bta dien.

bismillah.jpg

A: Khwaab ka ma'na ye he ke aap ku chahia ke aakhirat ku apna maqsood banae. Jis qadar Insaan mehnat kare aakirat ke lia us qadar izzat or kaamiyaabi milegi dunya me bhi owr aakhirat me bhi. Asl husan owr jamaal dil ka jamaal he jo imaan owr ta'aat se haasil hoti he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada