Published 11 years ago
Last updated 11 years ago
Q: Mufti gi me ne dream dehkha ke me makkah haram masjid me hoo aur white hae white hai dewar. Zaida clear nae hai lakin I know I was in haram. Waise ma jeddah ma rehta hoo.
A: Aap ku chahia ke hamesha Deen par paaband rahe owr apna dil Ka'bah Shareef ki taraf mutawajjih kare. Agar koi Haram se bhot doowr waali jage par rehta he, lekin us ke A'amaal Shari'at ke mutaabiq he, to goyake wo har waqt haram ke andar owr ka'bah shareef ke qareeb ho. Owr agar koi Makkah hi me ho lekin us ke A'maal dushmanaane Deen ke A'maal jaise he, to wo goyake Makkah me nahi he, balke kuffaar ke mulko ka ayk rehna wala ki tarah he. Allah Ta'ala aap ku baar baar Hajj owr Umrah naseeb farmae.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: