Q: Kal raat mein khuwab me dekhta hun kay Eid-UL-Azha ka moqa hai. Sub log janwaro ki bajaye Insaano ki Qurbani kar rahy hotay hein. Aur meinne pori qurbani kharay ho kay dekhi. jinko dekh kay mein bohat pareshaan hota hun. Lekin humary ghar mein qurbani na karny ki waja say log humary ghar ghosht bejhtay hein aur meri Walida us ghosht ko packets mein dal rhi hoti hein aur mein unko mana kar raha hota hun. Yaad rahy meinne pora insani ghosht khuwab mein dekha lekin meinne ya kissi or ko usko khatay hoay nahe dekha. Mein bohat pareshan hun. Meharbani karky mujhay meray khuwab ki tabeer bata day.
A: Khwaab ki ta'beer ye ke hum ku chahia ke hum Qurbaani ke waqt sirf jaanwaro ki qurbaani ne kare, balke hamare baatini buri khwaahishaat jo hame gunaah ki taraf ubhaarte he, hum us ki bhi qurbaani kare.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: