Khwaab ki ta'beer

Q: Mainay apni walida se istakhara karwaya aik rishtat k baray mai jo mai karna chahti hun. Meri walida ne hameesha har maamlay mai meray liyay istakhara kia hai aur hameesha sahi sabit hua. Meri walida ne dekha k aik kamray mai meray behan bhai aur kuch log hain aur aik sabz jora hai jo uss shakhs ne bheja hai jus se mai shaadi karna chahti hun. Sab log uss joray ko dekh kar us ki taareef kar ray hain. Magar kamray k beech mai aik janaza zameen par para hai dhaka hua. Ye maloom nahi hai l wo kis ka janaza hai par kisi mard ka hai jaisay kisi baap ka. Meri walida khti hai k unko laga jaisay unkay abba ji ka janaza hai. Haalan k meray nana ki wafaat ko 20 saal guzar gaye hain. Wo khti hain k wo janaza bas uss kamray k bech mai para hai magar koi usko notice nai har raha sab jooray ko dekh k khush hain aur koi janaza dekh k dukhi ya afsurda nahi hai. Plz iska matlab samjha dain. Mujhay janazay ka matlab samaj nahin araha.

bismillah.jpg

A: Ye acha khwaab he. Agar larka neak he owr aap ke maa baap us ke Deen, Akhlaaq owr aadaat se kush he to aap shaadi kar le.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada