Khwaab ki ta'beer

Q: Mujheh aap se apne khuwaab ki tabeer poochni thee. Maine khuwaab main dekha ke bohet sare log ek line main khare hain aur us sher main kuch ajeeb selog agaye hain. Un main se un ka leader ek sheks ko ishara kerta hai aur woh admi ek pyala pakra huwa hota hai.main aur mere aageh wala sheks seb se peechay khare they, usne baari baari aaker hum donon pe tezaab jesi koi cheez pheki,mujh se pehleh wale admi ka chehra kharaab
hogaya then main chillayi aur wahan se bhagne lagi.us ke baad main wahan tehelte huey soch rahi hoon ke nahi mera chehre ko kuch nahi huwa  hoga main tu duan perh rahi hoon. Mere upper tu us ka aser hoga.us ke baad main apne doston se pochte hoon ke sach sach batao kahin mera chehra tu khraab nahi huwa? Sath hi jeb chehre ko mirror main dekhty hoon tu woh bilkul sahi hota hai.is ke ilawa khuwaab main sufaid billi bhi dekhi. Please jawaab dijiy.

bismillah.jpg

A: Musalmaan ke liye dharoori he ke apne deen aur aabroo ki hifaazat kare aur aysee logo ke saath ne rahe jaha apne deen aur aabroo ke oopar aanch aane ka andesha ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)