Q: Me nay khawab me dekha ke me kisi jaga shayad koi madarsa he. Wahan washroom me ja kr urine pass krrahi hon or saaray cheetay meri legs pe or face pe gir rahay hyn. Me bachnay ki koshish kar rahi hon or ro rahi hon ke ye qu mere opar gir rahay hyn. Or me nay boht sara urine pass kia. Or me soch rahi hon ke mere periods bhi he. Lekin khoon nahi dekha. Please iski tabeer batayen. Phir me nay dekha ke me kisi onchi jaga par bethi hon sath meri friends he or hum fried rice kha rahay hyn or me os me se chicken ke chotay chotay piece dhond kar kha rahi hon. Phir hum wahan se utar jatay hyn. Mitti or cement ki seerhiyan jesi hoti hyn. Phir me nay dekha ke samandar hyn to me os ke pas khari hon or samandar ki matti mere paaon pe lag jati hy or samandar ki lehar aati hy or paaon saaf ho jatay hyn. Kia hamaray khawab sachay hotay hyn? Inki koi haqeeqat he ya nahi? Hamayn iski tabeer pe yaqeen karna chahiye?
A: Khwaab ki ta'beer ye he ke aap ku chahia ke aap neak suhbat me rahe owr ghalat suhbat se bache. Apne zindagi ku Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki sunnat wali zindagi ke mutaabiq guzare owr gunaah wali zindagi se bache. Internet, TV, ghalat dowsti, novel owr is qisam ke cheezo se parhez kare. Paanch waqt ke namaaz ku paabandi se parhe waqt par owr purdah ka ihtimaam kare tamaam na mahram larko se. Allah Ta'ala asaan farmae.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: