Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki ziyaarat karna khwaab me

Q: Meri bohot khawahish he k me hazoor sallallaho alaihi wasallam ki khawab me ziyarat karon. Me 2 bar unko khawab me dekh chuki hon. Lekin ab me kafi durood parhti hon lekn ziyarat nahi hoti. Please bataiye me kia karon.

bismillah.jpg

A: Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki ziyaarat karna khwaab me, Allah Ta'ala ki bohot bari ni'mat he. Lekin ye insaan ke ikhtiyaar me nahi he. Insaan ku chahia ke us cheez ki fikar kare jo Allah owr Rasulullah (Sallallahu Alayhi Wasallam) ku kush kare owr wo ye he ke apne zindagi ku Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke mubaaraak zindagi ke mutaabiq banae owr gunaah wali zindagi se bache. Jis qadar aap Sunnat par amal karenge owr gunaah se bachenge, Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) aap se kush honge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada