Dream

Q: Mujhe ayk khwab ki tabeer karani hai. Baat darasal yun hai mufti sahaab ke maine ek bike loan par kharidi thi, loan ek saal tak ada kiya phir uske baad kaam chuth jaane ki wajah se aage loan bhar nahi saka, phir mujhe bank se phone aana shuru ho gaye, kuch mahino tak aise hi chala, phir achanak jo shaks mujhe phone karta tha bank se wo meri dukaan par aa pahuncha, maine gadi us shaks ko de di usne uske pan card ke xerox pe mujhe likh kar de diya ke usne bank ko yeh gadi jama karne ke liye le ja raha hai. Itni baat to pakki hai ke wo bank ke recovery wala aadmi tha. Ab mufti sahaab gadi jama kar ke mujhe 3mahine ho gaye hai aur maine 1 purani scooter bhi le li apne istemaal ke liye magar pichle hafte yeh khwab maine continue 2din dekha hai. pehle din yeh dekha ke main usi bike par sawar apne ilake ke petrol pump se nikal raha hun to waha ka puncture wala jo mujhe jaanta hai kehne laga kya bhai wapas aa gai, maine kaha ha. Aur  phir dekha ke family jis me ek choti bachi bhi hai wo bachhi sab ko chod kar road par bhagne lagi, maine dekha ke wo road ke bicobich aa pahunchi maine gadi uski aur bhagai aur gir gaya phir utha aur gadi lekar uske saamne jo gadi aa rahi thi dal di, wo truck ruk gaya aur us bachhi ka bap daudta hua aakar usko le gaya. Dusre din maine dekha ke phir se main aapne ilake ke petrol pump par gadi ke upar baitha hu, ke aachanak mujhe andesha hone laga ke kuch log meri gadi dhund rahe hai, phir mujhe khayal aane shuru hue ke isko kisi pay n park wali jagah dal du ke gadi safe ho jayengi aur dhundne wale ise dhund nahi  payenge. Phir maine aisa nahi kiya aur achanak dekhta hun ke main ghar pahuncha hu, magar ghar mera nahi hai ye wo ghar tha jo hum ko pasand aya tha aur rate nahi jamne k karan sauda nahi hua, aur gadi bhi ghar ke andar hai aur wo log jo gadi dhund rahe the waha darwaze par mujhse puch rahe hai ke gadi kahan hai maine kaha k bank me jama kar di phir piche dekha to gadi ko chupane ke liye uske saamne ek bada sa plywood lag gaya hai mano room ki diwar ki tarah,  magar mere jawab se unlogon ko tassalli na hui aur unme se ek kehne laga ke piche bhi rasta hai chalo waha dekhen, aur main soch raha hu ke ye logon ne agar piche ki khidki se dekha to gadi nazar aa jayengi, ve log jaane lage aur khwab tut gaya.

bismillah.jpg

A: Tamaam mushtabah maal se parhez karo owr soodi lean dean owr muaamalaat se bacho. Allah Ta'ala rowzi me barkat denge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada