Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne do din pehly istakhary ke hawaly se daikhy hoay khawab ki tabeer ke bary ma poocha tha, aap ny iska reply ye kia ke "Khwaab dalaat karta he ke is waqt aap ku koi pareshaani he." Apni naqis aqal ki waja sy ma smj nahi saki k is rishty k kerny ma khair hy ya nahi? khawab ma bhai ko bht ziada mushkilat ma deaikhny ka matlab kya hy? us ki zindgi ma aagy preshaniyan tu nahi hoon gi khudanakhasta? khawab dobara send ker deti hoon ta k muj naa cheez ko mazid smjhany kaliy aap ko asani ho. Me lerky ki bari behan hoon aur apni olad ki trah hum ny usko pala hy, dil bht ziada preshan hy mera.

khawab #1: ma masnoon tareeqy sy nafal aur istakhary ki masnoon dua perh k paki ki halat ma soi thi aur tamam azkar jin ma 4 qul, ayatul kursi, soarh mulk bhi shamil hein. Ma ny khawab ma apny samny wala ek dant aadha toota hua daikha aur doosra dant khasta halat ma daikha jis ki waja sy ma bht bad soorat  lg rgi thi.

2nd khawab kuch din k bad phir daikha k mera bhai road pe khara ksi sy rasta pooch raha hy,jis sy rasta poocha raha hy wo bht gndi aur makrooh soorat ka aadmi hy,usny mery bhai ko ek tung gali ka rasta bataya jis k andar jga jga ghilazat,kaae aur bakgham latak rahi thi,mera bhai bar bar phisal jata tha lakin girta nahi tha,tareek gali thi,bar bar us ma choti choti galiyan murti thi,mera bhai bht ziada thak gya aur nidhal hogya,bohat ziada deir chalny k bad aakhir wo road pe nikal aya,usny daikha ye to wohi jaga thi jahan sy usny safar shoro kia tha aur wohi aadmi pehly wala makrooh hansi k 7 bola k ab seedhy rasty pe chaly jao,bhai ko bhyt ghussa aya lakin bebasi sy khamosh hogya aur gari ma speed k7 aagy chala gya,kuch door jany k bad rasty ma qabristan aagya aur kuch fasly pe doosra qabristan shoro hogya,dono qabristano k beech ma ek chota sa chowk tha,wahan ek lerki charpae pe beemri ki halat ma leti hoi thi,us k 7 mery bhai ka nikah hogya,nikah ma gher ka koi bnda b shamil nahi tha siwaiy mery aur baqi log thay.nikah k bad hum lerki ko us k maiky ma chorny gai to lerki naraz thi k dulha mjsy bolta q nahi?gher ja ker b lerki late gai aur lerki ki walda mery bhai ki khala ka shukriya ada kerny lg gai k aap ki waja sy meri beti ki shadi itny achy aur naik lerky sy hogai.(note:khawab ma jis lerki sy nikah hua ye wo lerki nahi thi jis ko hum ny bhai kaliy final kia)

bismillah.jpg

A:

1. Agar aap ki zindagi me koi pareshaani nahi he, to fikar karne ki zuroorat nahi he. Agar rishta se sab log kush he owr larke ke Deen owr akhlaaq se sab log mutmain he, to nikaah karne me koi haraj nahi he.

2. Aap ke bhai ku chahia ke neak logo ki subah me rahe jo unku Allah Ta'ala ki taraf rehnumai kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada