Sab ke saat acha bartaaw owr sulook rakhna

Q:

1) Mere 2 walda hai aik na mjhai pedaish di aur dusri walda ney mjhai palla jin walda ney mjhai pidaish mere study ka ziada tar kharcha ajj tk unho ney uthaya mgr mere har zarurat ka khial mere study mjhai kia pasand hai kia ni pasand wo mjhai palne wali mother ko pta hai mere mothers k bich mein kafi dayr tk laraye b rahi pehle mere wja se dono ikhathey rehte thai mgr ab alehda hogaye hai main kabhi uss ghar rehta hu kabhi iss wali mother k sath mgr jin mother ney mjhai pala wo hmesha mjhai sunnanti hai tere per manai paisa lgaya har bt main tanz aur jgha jgha beth kar buraye karti hai pasai b aesai deti hai jasai ehsan kar rahi hai aur har bt main nicha dikhane ki karti hai unsey kabhi bt b karne ki koshish ki to ulta parh jati hai ya ignore kar deti hai main ni chahta mere andar un k lie izzat khatam ho mgr kuch salo se khatam hoti jarahi hai main bht koshish karta hu un k sath rehne ki mgr raha b ni jata rehta b hoto ziada tar chup rehta hu jo aik mere bhai hai sgha wo b bte sunata hai hai har waqt main wo mjhai kbhi smjhne ki koshish b ni karti unko mere kisi cheez ka koi fikar hi ni hota main zaida tar unsey mangta ni zaururat b parh jaye to asai deti hai jasai kisi ajnabi ko jb door honey ki koshish karta hu tb b bte karti hai yeh mere baki bacho ki trha ni hai main ab kia karu wo mere walda hai main ni chahta main kabhi un k age bolu ya mere main unki izzat khatam hojaye..

2) Mere real mother and father syed hai bukhari(sunni) mgr mere nana abu ki wafat k baad halat kuch thek ni thai ghar walo key mere mother ko ghalat kaam karna parha paisa kmane k lie jasai nachna mere father mere mother ki zindagi main aye hum 3 bahan bhai hai mgr mere father ney nikaah ni kia mere mother k sath mother ko yeh kaam chore b 20 se 22 saal hogaye hai ab humara uss shobe se koi taluk ni mera sawaal hai kia mjhai apne apko Syed kehna chaie jb log puchte hai tum kia ho main keh deta hu Syed hu mgr sharminda b hota ... kia mjhai kehna chaie ?

A: Sab ke saat acha bartaaw owr sulook rakhe owr unku Deen ki taraf laane ki kowshish kare. Agar aap Sunnat ke raaste par chalenge owr un ke saat Muhabbat wala bartaaw karenge, to mumkin he ke aap ke neak zindagi se wo mutassir hokar Islam ki taraf aajaenge.

Agar aap Sayed he, to Sayed batlana jaaiz he. Lekin apne maa baap owr khandaan walo ke lia khusoosi dua kare paanch waqt ke namaaz ke ba'd ke Allah Ta'ala unke zindagi ku Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke Mubaarak zindagi ke mutaabiq banae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)