Shaitaani khwaab

Q: Main nay khawbo ki tabeer maloom kerni hai yeh khuwab main nay takreeban 2 sall phelay deakha tha subha 9 bajay k baad dekha thaaur us waqet main nay ghulsay janbat nahi kia tha.

Khuwab dekhanay kay baad uth ker kerlia tha. aur khuwab esay hai, " main apnay shora aur choti nand aur saas kay sath akk elakay say guzar rahi hun jaha different bulidings aur gher hain thora aa gay gai hun tu akk building kay bahir kafi rash hoo raha tha tu main nay kesi say pocha yaha kia hoo raha hai tu us nay khaha hai yaha per bohat baray bozurag ayy howay hain 5th flor per kesi say milnay sab un hazart sahib ki zeeyart kernay jaa rahay hain aur apnay leay dowa bhi kerwa rahay ahin tu main nay apnay shora say kaha chaloo hum bhi chatay hain. us kay baad main nay buliding kay door kay pass akk sign bord deakha us kay uper akk bara sa sanp slive aur black color ka full black nahi tha mix color tha woh batha howa tha main nay pocha kesi say tu us nay batana kay yeh hazarat sahib ka muhafiz hai hamysha un kay stah hota hai woh kesi ko kuch keh nahi raha tha phir hum uper chalay gay uper jab hum gay tu woh akk kholi jagha thi akk tree tha shyad aur us kay nechay hazart sahib bthay howay thay waha sab line say hazart sahib say mil ker samnay kay rastay say utertay jaa rahay tha, rash honay ka bawjood bhi sab akk ker k aram say mil rahay tha , phleay meri nand gai us nay kuch pocha aur woh nechay chali gai phir meri saas gain unhoo nay apni bemari k leay dowa ka kaha aur woh bhi chali gain phir main gai lakin us time merya shohar kahin aagay chlay gay thay main nay hazart sahib say khaha k woh meray aur meray shohar k leay dowa keran kay hum dono hamysha kush rahen aur kabhi koi buri nazar ya aafat hum per na ay tu woh muskuranay lag gay phir main nay kaha k meray shohar bahir jana chatay hain tu unhoo nay pocha k kaha jana hai main nay batay k woh abhi tu Australia janay ki tayari ker rahay hain dowa kareen k woh kamyab hoo jaen (aur woh hakkekat main bhi yehi ker rahay hain) lakin un ka shok saudia arab jaa ker madina pak main job kerna ka hai tu unhoo na kaha kay appnay shoar say kahoo k woh Darood Sahreef kasart say parha karay tu main nay kaha k Masaha Allah woh wasay b parhtay hain phir hazart sahib nay kaha main kuch kerta hun phir main tumhay batadon ga kay kamyabi hoi ya nahi main tumharay khuwab main aaon ga aur aa ker koi ishara don ga ya tum ko bata don ga lakin tum derna nahi meri ankeen lal hoo sakti hun aur tum kesi koi batana nahi werna koi faida nahi hoo ga tu main han keh dayti hun itnay main meray shora samnay say aa jatay hain tu hazart sahib k sath koi un ka banda hota hai woh meray shohar ko deakh ker kehta hai k yeh tu Masha Allah bohat hi naik insan hai kuch achay alfaz aur kehtay hain mujhay woh yaad nahi wasay meray shohar Masha Allah namazi aur bohat naik hain aur mehrab bhi hai un k mathay bhi na tv deakthay hain na na merham aurat ko deakthay hain means her borai say bachnay ki pori koshis kertay hain. usay kay baad hum phir wahay say nechay uthar gay phir akk dam hum kahin aur chalay jatay hain kesi english institute main lakin humay yeh mehsos hoo raha hota hai k yaha humay hazart sahib nay hi behja hai waha meary shohar jaa ker english class main speach daytay hain esay hi phir meri ankh khol jati." wasay meray shohar ajj kal Australia janay k leay english ki tayari ker rahay hain.

A:

1. Is khwaab ki taraf diyaan ne de choonke ye janaabat ki haalat me dheka gaya owr is ke andar shaitaani asar he.

2. Kaamiyaabi haasil karne ka tareeqa sirf Nabi (Sallalahu Alayhi Wasallam) ki Mubaarak Sunnat he. Jo sakhs huzoor (Sallalahu Alayhi Wasallam) ki mubaarak Sunnat par amal kare apni poori zindagi me wo kaamiyaab ho ga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada