Khwaab ki ta'beer

Q: Main apny khawab ki tabeer poochna chahta hn. Main ne apny khawab men dekha k main bike per safer ker rha hn or nahi janta k kahan jarha hn, phir main sochta hn k kisi se pooch lon k lahore jany wala rasta konsa hai, 1 admi se pochta hn k lahore kidr ha wo kehta ha k nahi janta, kisi 2sry se poochta hn k lahore kidr hai to wo mujy rasta btata hai to main kehta hn k acha to yeh rasta hai, main pechy dekhta hn to 1 admi nazar ata hain wo bhi bike per hain, us ne bhi lahore hi jana hota hai to wo bhi yeh bat sun k bike turn kr leta hai, lekin wo rasta lamba ha to main ye sochta hn k yahan kisi hotel men thehr jata hn. Kisi hotel men jata hn to us k mailk se milta hn or sath hi yeh dekhta hn k yahan kisi ki shadi hai to mushkil se hi mujy koi kamra mily ga, lekin hotel ka malik mujy kehta hai k main kuch intezaam kerta hn kuch der bad main apny aapko kamry dekhtahn phir dekhta hn k subah hogai hai or barati or dulha sorhy hain, main yeh sochta hn k mujy yahan ana e nahi chahye tha, phir kuch der baad main apny aap ko lahore ki taraf jany wali gt road per bike chalaty dekhta hn. Mufti sahb barah e karam mujy is khawab ki tabeer bata den. Aapka shukr guzaar honga.

A: Hamesha neak logo ki suhbat me raho owr bure logo ki suhbat se parhez karo. Jin jagho ku aap ku nahi jaana chahia, un jagho se parhez karo. Issy me aap ke Deen ki hifaazat hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada