Khwaab ki ta'beer

Q: Mufti sahab meri ammi ne kuch din pehle ek khwaab dekha jisme unhone apni ammi yani meri naani ko dekha jinka bht saal pehle intikal ho gya h wo aur unke sath meri ammi ki ustaani ji (jinse unhone quran seekha he aur wo bhi ab bht saal pehle intikaal kr chuki h) wo dono (yani meri nani aur meri ammi ki ustaani) meri ammi ke khwab me sath me aayi aur unhone meri ammi se kha ki chlo hum tmhe lene aye h to meri ammi ne unse mana krke kaha ki nhi abhi mere upar bht zimmedariyan h, mere do bachche h hum abhi nhi 15 saal bad chlengy jisko sunkr wo chli gyi). Itna hi khwab he jo meri ammi ko mu zabaani yad he. Agar iski tabeer aap bta de to aapki bhot meherbaani hogi. Allah ta'ala aapko iska ajr de.

A: Aap apni ammi ku kehde ke Qur'an Shareef ka kuch hissa par kar ya kuch sadaqa de de owr us ka sawaab apni marhoom waalida owr ustaani ke lia bhejde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada