worry

Pareshaani ka hal

Q: Pahla ye ke mene MBA and BTech kar liya hai. Fir bhi meri naukri nhi lagti. Aur agar koi mil jaati hai to usme mera dil nahi lagta hai mere dimaag me ulte seedhe khayalat aate hain ki is naukri me main fas gaya hoon isme mera future nhi hai ghabrahat hoti hai aur woh job nikal jaati hai haath se. Mera dil bohot ghabrata hai. Pata nhi kyun sote sote uth jata hoon ghabrahat hote hi. Me sharukh khan ya salman khan ko dekhta hoon woh itne famous hain ya aur kisi ko dekhta hoon famous insan ko jinke peeche duniya pagal hai. Woh aate hain chale jaate hain kisi bhi shaher me kuch ghante rukte hain pata nhi mera dil kya chata hain aur me ghbarane lagta hoon. Please kuch batayie .... Me kya karoo

Wasaawis ki wajah se pareshaani

Q: Muje waham aur wasawis ki bimari he me isse bahut pareshan rehta hu har chiz muje har chiz me tarah tarah doubt paresan karte rehte he isse me bahut confuse rehta hu kisi bhi kam kar ne ke andar khof mehsus karta hu please muje is pareshani nikal ne ka koi rasta bataiye kya doubt aur wasawis ke buniyad par kisi chiz ko chor sakte he shaytan purani bato ke wasawis dalta rehta he me ignore karne ki koshis karta hu lekin kuch nahi hota.

Pareshaani kis tarha dur hogi

Q: Mey bhut pareshan hu mere shauhar ne naya mechenic shop ka dukaan open kiye hai magar do maheeno me unhe zyada kuch umeed nahi mili wo roz namaaz padhte hai Allah se dua karte hai aur halaal ki rozi chahte hai magar unhe roz ki rozi nhi mil paa rhi please suggest some dua aur something then Allah humari har galti ko maaf karke hume halal ki rozi rizk ataa farmaye.

Pareshaani owr musibatein

Q: Meri shaadi se pehle hi se her kaam mein nakamiyab raha. Aaj meri umr 60 saal ki hai, abhi tak pareshan hoon. Mera ek hi larka hai jo bachpan hi se bimar hai. 40 saal se mirgi mein mubtala hai. Meri larki shaadi nahi ho rahi hai aur na hi daulay hai. Tamaam umr duaein karta raha, wazife parta raha, lekin musibatein aur barh jaati hai.namaaz aur tilawat kerne se bahut zayada musibat ho jaati hai.Madad chahta hoon. Karam farmaein.

Beta walida ko pareshan karta hai

Q: Meri walida jo hain namaaz ki paband hai owr ham sab betiyan bhi namz ke paband hai. Bas bete jo hain namz nahi parthey. Do beton ki shadi ho chuki hai tesra beta jo abhi 23 saal ka hai aqal wa shaor bilkul b nahi hai koi kam b nahi karta bas shadi ka bhoot sar par swar hai r bar bar tang karta hai k mujhey shadi karni hai meri walida ko pareshan karta hai apni baton se jis se wo chirchiri ho gai hai r tension leti hai r bare dono bete b apni pasand r marzi k mutabiq shadi ki hai ab pachta rahe hain unke wives bad ekhlaq r namz nahi parthey r bachey b bilkul apni trah bad eklaq r la shaor hain jab unhe koi masla dar pesh ata hai to meri walida ko tang karte hai r apna masla bayan kr k meri walida ko pareshan rakhey hain r meri walida ko wo ezzat nahi dete jo aik maa ka haq hai meri walida usi ghar main hote howe b meri walida ko nahi pochtey jab apna kuch masla hota apne mafad k liye maa ko pochety hain r tesra beta ab unhi ki tra shadi k liye zid kar raha hai r aqal bilkul b hai nahi samjhatey hain to kehta hai mujey samajh hai apne ache r burey ka esa wazefa bataen jis se wo aik farmabardar beta ho r aik deendar ba adab larki se shadi karne par razi ho jazak allah fi Amanillah.