Published 8 years ago
Last updated 8 years ago
Q: Meri shaadi se pehle hi se her kaam mein nakamiyab raha. Aaj meri umr 60 saal ki hai, abhi tak pareshan hoon. Mera ek hi larka hai jo bachpan hi se bimar hai. 40 saal se mirgi mein mubtala hai. Meri larki shaadi nahi ho rahi hai aur na hi daulay hai. Tamaam umr duaein karta raha, wazife parta raha, lekin musibatein aur barh jaati hai.namaaz aur tilawat kerne se bahut zayada musibat ho jaati hai.Madad chahta hoon. Karam farmaein.
A: Aap kyu pareshan hote he. Musalman ka koi amal kabhi radd nahi hota. Kabhi du`aa aur mehnat ka nateejah usee waqt aapke saamne aata he aur kabhi bohot dino ke ba`d saamne aata he lihaaza fikr ne kare khuda ke supurd kare.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: