Zakaat owr sadaqah
Q: Me apni mali pareshani door karny ke liye apni salary se har month kuch pesa nikalna chahty hon, taky jo bhi mali pareshani hy woh door ho. Aap yeh batain ke yeh pese kis tarhan or kis niyat se nikaly jayen gay. Aya ZAKAT ki niyat se ye SADQY ki niyat se. Or kia har month nikalna zaroori hy ya saal me ek dafa. Agar har month nikaly jaye to us me koi harj to nahi hy. Main pehly se 2.5 % (Dhai Fesad) nikalta aa raha hon apni salary ka jo mustahiq ko jata hy. Magar phir bhi haalat wese hi hain or abhi tak ZAKAT ke naam se nikal raha tha. To kia woh tarika ghalat tha? Kia yeh pese sadaqay ki niyat se nikalny chahye thay or koi or tariqa ho to woh bhi bataye.