parents refusing

Shaadi me pareshaani

Q: Aapse guzaris hai ke mera ek masla hai aur iski wajah se main abhi bahot taklif main hu.Mufti sahab main 1 ladki se pyar karta tha. wo ladki hindu (cast-mochi) thi. hum 9 years se ek dusre ke sath the. jab muje laga ki iss ladki ke sath meri jindagi achhi tarah se basar hogi to maine usse shadi ke liye pucha aur usse bol diya ke agar shadi karni ho to tumhe islam kabul karna padega, Namaj, Roza, Quraan ki tilawat sab karna padega aur wo ladki razi ho gai islam kabool karne ke liye. Iske liye maine use 1 saal ka waqt diya tha acchi tarah sochne ke liye fir bhi usne Ha bola aur wo islaam qabool karke sab kuch karne ko taiyaar ho gai. fir maine apne ammi ko bola aur ammi ne mere mamu se baat ki. mere maamu us ladki ko milne aaye aur apne islam main aur ghar ke mahol se rubaru karvaya aur ladki ne sab baat ko qabool kiya. maine us ladki ka photo apne gharwalo ko dikhaya tha aur mere ammi aur abbu uske sath phone par baat bhi karte the. mere gharwalo ke kehne se maine usse court main shadi kar li kyuki koi jagada na ho aur agar ho to marriage certificate sab ko dikhane ke liye. fir maamu ke ghar ja kar nikkah padhna baki tha. jab nikkah ke liye jana tha uske 4 roj pehle wo ladki hamare ghar aayi aur mere abbu ne usse dekhi. dekh kar tabhi bol diya ke ye ladki ki body thik nahi hai. tu divorce le. aur kaha ki ye ladki hindu main mochi cast ki hai to iske sath nikkah nahi ho sakta. maine apne gharwalo ko bahot samjaya par wo Na mane aur hamare divorce karva diye. Muje bola gaya ke ye ladki islaam qabool nahi kar sakti aisa hamare nabi aap S.A.W ne farmaya hai. iski namaj bhi qabool nahi hogi. to kya ye bat sahi hai? hindu main mochi cast ki ladki agar Islaam qabool karne ko taiyar hai to wo chah kar bhi qabool nahi kar sakti? bas ladki ko dekh kar bol diya ke ye in future main baccha bhi paida nahi kar sakegi kyuki ladki thodi dubali patli thi. muje bataya gaya tha ki koi non-muslim islaam qabool kare to wo musalmaan ho jata hai fir wo kaun tha wo nahi dekha jata. ab mere gharwale meri mangani kahi aur karva ne ki baat kar rahe hai par mera dil gawara nahi karta hai. agar maine mangani ya shadi kari to bhi main sacche dil se us ladki ko nahi apna sakunga. main kya karu? muje kuch samaj nahi aa raha hai. mere gharwalo ne jo kiya wo sahi tha? wo ladki islaam qabool nahi kar sakti thi? muje talaak nahi lena tha fir bhi majburi main muje talak lena pada. aur ab majburan kisi aur ladki ke sath mangani karni pad rahi hai. aap se guzarish hai aap jald se jald muje jawab dijiyega.

Girl's father not happy with the boy

Q: One of my distant relatives, we both like each other and want marry. My parents are ready for the relation, however the girls father is not ready to make this relation with us. The girl and I want to marry.

1. Is it right if we do nikaah with shari witnesses without her parent's permission (she is underage according to India's rule i.e. girl is 18 or above years old.)

2. Can we do nikaah and live separate from each other until she turns 18 years?

3. Once she is 18 years of age, can we marry through court registrar?

Waalid rishta se khush nahi

Q: Mera ek or sawal ye hy k me Afghani hn or me ek Pakistani larke se boht pyar karti hn taqreeban 4 ya 5 salo se or us k Ghar wale raazi hy lakin mere Ghar wale Ab razi nhi hy srf es waja se k WO Pakistani hy na k Afghani jb k WO n us k walid mere walid se mil chuke hy or unko zuban b di thi bt lakin mere walid hm se kuch or kehte hy means k nhi maan rahe or munkir hy apni zuban se BT massla ye hy k unko kuch nhi bolte means larke k walid call b karte hy to receive nhi karte na hi unko inkaar karte hy BT hmare Ghar me boht massla create karte hy mujse baat nhi karte bad dua dete hu meri ammi ko Dante hy etc or hm 6 behane or 2 bhai hy mera num 4 hy or ek Behan ki shadi hogai hy meri ammi n Mamu log raazi hy larke ko dekho chuke hu BT meri behane phele kehti thi k AGR larka hmare rewaaj pore karega n izzat se shadi karega to hume koi prob nhi hy or larka SB kuch maan raha hy har chez k liye raazi hu uski family b kuch nhi bol rahi BT Ab mere walid or 4 bahne apni bato se palat gaye hu or kuch dino se Ghar ka mahol kharab kar rakha hu muje baat baat pe sunate hy taane dete hu or muje baat tk band kardi hy or meri ammi se bola hu k apni beti se kaho k ek ko intikhaab kare matlb k ya larke ko chose kar k chali jaye n kbi b dobara wapis yahan na aye yaani hmsha hmesha k liye rishta khatam karde warna larke ko bhool jaue mera massla ye hy k me dono me se koi rasta nhi le sakti or meri halat boht buri hy dil me kharab batain ati hy koi rasta nazar nhi ata dil chahta hu k khudkhushi karlon BT ammi mere sath hy WO b boht pareshaan hy mere liye meri family kehti hu ammi se k us larke ko bula kar chup kar eska nikkah kar k bhejdo or kbi wapis na aaye BT meri ammi kehti hy k es me ruswayi hy coz meri srf ek Behan ki shadi huwi hu n do behane mujse bari bethi huwi hy engage b nhi hy TBI ye to boht sharam ki baad hy k do bari behne Ghar pe hy or 4 ki shadi kardon wo b chip kar or mere liye b darti hy k aage ki zindagi me muje taane milenge or shadi k baad mera koi maika nhi hoga Me jis se pyar karti hn usne aj tk boht help ki abbu ki n thori boht family ki or aj tk srf izat se SB karna chahta hu tbi meri ammi ne mujse wada kia hy k WO har haal me hmari shadi karwayengi BT baqi SB hmare khilaaf hy or kuch b samj nhi araha k kia kare me wazifa b karti hn or boht dua b k hmari shadi izzat k sath hojaye BT SB kuch bigar gaya hy boht ajeeb si halat hy meri ammi n Ghar ki TBI ap se guzarish hy k kuch rehnumayi kare or koi tareeqa ya wazifa waghera bataye muje ta k mera massla khair k sath hal hojaye.

Larki ke bare larke se khush nahi

Q: Mei kisi se 5 year se bahut piyar karti ho wo bhi bahut karte he. Wo mere mamu ka beta he. Mamu ki taraf se 2 baar rishta bhi aya tha but jab hamare ghar wale agree nahi hoa but ab mamu ko paralise ho gaya hai and mumani ko mei bilkul nahi pasand. Mumani uski shadi kahi aur kara rahi hai hum dono bahut piyar karte he hamne ishtekara bhi karaya hai wo bhi bahut acha aya hai. Aap mufti sahab koi wazifa bataiye jisse mumani ke dil me ajai.

Obeying one's parents in matters of nikaah

Q: I have been engaged for almost 1 year and me and him want to get married so there will be no more haram. His family is okay with it but my parents don't let me marry him just because he is Arab and I am Turkish. They have no Islamic reason and they don't want to pray and know nothing about Islam so it is not normal for them to marry at this age. So I heard if the father doesn't have Islamic reason then it passes to my brother to be my witness and then passes to uncle and if they both don't agree then an imam can be my witness is it true? And I also heard a man's parents don't need to know about the marriage only women's parents. I know no one of my family would agree because they aren't aware with anything about Islam and they don't find it normal so I was wondering can the imam from the mosque be my witness since my family don't have any Islamic reason, and my parents don't know about the marriage?