Maamu ke saat Umrah ke lia jaana
Q: Main aik unmarried larki hun kia main apni naani aur maamu k sath umra pe ja skti hun?
Q: Main aik unmarried larki hun kia main apni naani aur maamu k sath umra pe ja skti hun?
Q: Mai periouds rukne k liye pills le rahi thi kyu k mujhe umrah krna tha jb mere periouds ruk gaye tau mene umrah kia jb mai umrah kr k ghar i thi tau mene apni underwear chk ki jis pr koi nishaan na tha phr mene tissue vagina k under dal kr chk kiya tau white discharge aya phr mene 5 min baad chk kia tissue vagina mai daal kr tau discharge ka colour change tha thora sa red brown bilkul zara phr mene dobara chk kia tau white aya ab kahin br chk kr chuki kch nhi araha mere umrah hua ya nhi agar dum wajib hua tau kia dam dene se phele mai halaal nhi hngi?
Q: Maine mera 9 umrah hone k baad room par aaya sar mundwane ke liey phr bhool se maine dusre kapde pehan kar ehram ko utar kr sar mundwaya. To kya bhule se anjane me hone par ispe dum wajib hai ya sadqah dena hoga?
Q: Sir, Pakistan sy umry py 15 din ka stay makka Mukarma mei ha mera mei un 15 dino mei daily aik bar umra krna chahta hu swal ye ha k kia har bar umry ke bad mujy baal katwany hun gy ya pehly din he sara sar mundwa lena kafi ha?
Q: Mera bhai (brother) or nani (grandmother) ummrah krny gye huy hain jab wo Safa or Marwa k pahar k gird chakkar laga chuky to bhai ny dekha k nani nhi dikh rhi hen to bhai pareshan hogye or nani ko dhundny lag gye dhundty huy 4 ghanty guzar gye bad ma nani mil to gaien thien lakin bhai ny nani ko dhundny k bad namaz parhi 2 rakat to ab ummrah k kuch ghanty tak ruk jany sy bakri ki qurbani karna farz hogya hai kia me ny kal hi Quran Pak ki tafseer e usmani ma prha hai surah baqarah ayat no 307 ma please jawab jaldi dijyega is bat ko 8 din guzar gye hain or wo log 10 din ma wapis ajayengy agar us sy pehly hi kuch karna hai to btadain.
Q: Ihraam k ander kin cheezon ke ehtiyat ke jae or aise amal jin par sadaqa ya dum lazim hota ha un k baray me tafseel se btaden.
Q: Mera sawaal ye he ke umrah ke lia jo mehram ki zarurt hoti ha wo requiremnt kesy puri ki jaye. Father zinda nahi hain bhai afford nahi ker sakty larki abhi unmarried ha. Chachu mamu waghera ma se b koi sath nahi ja sakta. To kya wo jo travel agent k through mehram banaya jata hai wo darust hai kahin wo jhot or dhokay ma shumar to nahi hoga aisa to nahi k umera k sawab ki bajye ulta gunah ho.
Q: Mujhai yai jaanna tha ke haj-e-badal ki kya fazilat hai according to hadith? Marhoom ki taraf sai haj-e-badal karwanai ki fazilat kya hai? Marhoom ki taraf sai haj kara saktai na? Hum sab ladkiya hai mohareem na ho toa hamarai Abba kai kareebi ko haj-e-badal kara saktai na?
Q: Main Dubai ma aaya hova hon or yaha se umrah par jana chahta ho by road jo ke mujhay boht sasta paray ga Pakistan ki banisbat. Mujh par meray susar ka do lack ka loan ha. Aap mujhay ye bataiye ke kia mera umrah qabool hoga agar ma qarz dar ho to kindly reply fast, I am waiting.
Q: Kya Arafah maydaan towaf karne keliye ghusal farz hai?