urdu

Iddat me kaam par jaana

Q: Mera masla ye he k mere divorce hone wale h 2-3 din me. To muje iddat kb se or kaha, kis tarah bharni hogi? Me pichle 5 mnths se apni ammi k ghr hu. Meri phli shadi se 1 beti h jiski parwarish k lie me job krti hu. Me teacher hu or meri school ghr se 20 km dur h. Ghr me koi mard h nhi sari zimedari meri h to kya me iddat k doran bahar ja skti hu? Meri school me sirf ladies staff h or koi or income ka zariya nhi h to kya possibilities h?

Showhar biwi ku apni ID card change karwa lene ku kehna

Q: Mufti sb, shari hukam bayan kren. Meri wife apnay baap k ghar thi or naraz bhe. mai ne sms kia k tum agar mere sath nhi rehna chahti to theek hai lkn us ka koi reply na aya. phr mai ne emotional sms krna start kr dye. jaisay k tum baad mai(yani alag honay k baad) aisa kerna wesa krna, apni ID card change krwa lena(mere sur name wala). lakin ye sb kuch future sentences thy. to kia hukam hai. 2. agar biwi kahay k muje ao se kabi sukh ni mila or shohar agay se kahay k koi or dekh lo(yani husband) to kia hukam hai. meharbani farma ker thori c wazahat b frma dia kren ta k sb shakooq door ho jain.

Dil me talaaq dena

Q:

1. Mera sawal hai ki kisi shaks ne agar sirf dil mein hi socha ki maine apni biwi ko talaq de di hai to kya talaq ho jayegi?

2. Ya phir usne akele mein zuban se kaha aur waha koi maujood nhi to kya in dono surat mein talaq ho jayegi?

Talaaq ke b'ad iddat

Q: Mere ek dost ka call aya tha usko kuch masail paish aaye he jo wo puch ne se kuch sharm mehsus kar raha he is waja se usne muje kuch bate puchi he jiske bare me wo ap se kuch rehbari chahta he...

Us ladke ne ap ni biwi ko talaq de di he... Uske sawalat ye he ap se guzarish he ke iske bare me kuch rehbari farmayein.

1. Talaaq ki waja se biwi ki iddat kitne din ki hogi?

2. Ladki ko kahi salon se haiz (mahwari) nahi aa rahi to kya iski waja se iddet ke time me koi farq aa sakta he?

3. Ladke ne talaq se pehle 3 month tak ladki se suhbat nahi ki to kya isse iddet ke dino me kuch farq aa sakta he?

Shirkat

Q: Mae jo busniess karta kya vo jayaz hai ya nahi?

Ek mae face k cream kharid tha low rate may osko high rate may dost ko baich toh.

Dosra mera dost machanic hai un jab customer se baat kar k kam karta toh un 3000 may karta but mae jab baat karta os k customer se vo he kam 40,000 forty thosand may hota aur deal agree hojati un kam karta fir un 20,000 laita aur mae 20,000 laito kuy ki customers se mae he baat karto aur un kam karta customer ko bahoth samjana phadta osko vo nai ata kya yhai jayaz hai os k pass se laina aur dost he deta muje paisa customer nai baat karto mae dost k samnai customer se plz reply agar jayaz nahi hai toh kya karna ab thak mae jo b six lakhs kamaya father k karza clear kara vo money say plz reply me kya yhai jayaz hai ya nai aur Aur karza jyada hogaya tha father ko 15 lakh toh mae dosto ko paisa diya aur 10 days vo log 4000 detai thai unlog os say jyada kama laitai aur kabhi kabar nai detai thai mae unko maff karto tha last may mairai paisai detai aur vo bhi time laikai jo bhi paisa aya mae father ka karza phaida kya mae sahi kara agar galath ho toh kya karna chaiyai ab mairai pass paisa nai hai sab hogaya.