urdu

Khwaab me mor dekhna

Q: Maine khwaab me ek mor dekha jo bhot beemar tha. Uske pair bhi nahi the or uske sare pankh bhi khatm ho gaye the or wo meri gahr ki terrace par tha uske baad mere pass aakr baith gya or baat karne laga. Please aap muje is khwaab ka matlab btaye.

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri biwi ne khwaab main meri ammi, dono bhabhiyo aur meri behan ko dekha hai jis main wo sub apas main batai kar rahy hain mari behan ghar main a kar shor karti hai lakin in sub main kisi ny bhi meri bv sy kuch nahi kha wo khamosh hai. Is time meri biwi haamila hai aur wasy bhi ye sub log nahi chahty ke meri han koi ulaad ho. Barye karm khuwab ki tabeer bata dain.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe apne khwaab ki ta'beer maloom karni hai. Ye khwaab maine 2 hafte pehle dekha. Sham mein maghrib ki namaz k bawd wazaif r tasbeehat parh kr main leiti r aankh lg gyi tb, taqreeban 6:30 se 7:30 k darmiyan.. us se kch din phle hi mera rishta pakka hua r main ALLAH pak se dua kr rahi thi k mjhe koi ishara mile ku k mera is rishte se dil mutma'in nhi hai. maine dekha: hum sb ghar wale kisi building mein bethe hein. building abi puri bni nahi h, darwaze r khirkiyan b nhi lge, cement wali deewaren(walls) hein. abu charpai per leite hue the ammi r meri choti behnen dono pas bethi thi. main b nazdeek hi chair per bethi thi. sb log kisi bat se khush the r hans bol rahe the siwaye mere. achanak maine dekha k khirki(window) wale gap mein se bahr bht gehre r siyaah bht zada baadal aw gye hein r bht qareeb pohanch gye hein. main bht pareshan ho jati hun magar koi r ni dekh raha hota bahr. badalon ko dekh kr main sochti hun k bht bhari toofan aane wala hai jo sb kch tabah kr de ga. phr thori deir guzarti hai tou mjhe thora thora continuous zalzala mehsoos hota h.. main r preshan hoti hn per koi r mehsoos nhi kr raha hota. main sb se kehti hun k zalzala aa raha h khamosh ho jayen tou sb kehte hein k tumhara veham h r meri baat ni sunte. main phr bahr baadalon ki traf dekhti hun r sb se kehti hun k bahr dekhen kitna khaufnak toofan aane wala hai, tb b koi meri bat ni sunta. main zabardasti ammi ko dikhati hun tou jese hi ammi dekhti hein baadal hatt jate hein, r jb wo waps jati hein tou phr se wese ee gehre siyaah toofani baadal aa jate hein. is k baa'd meri ek dam aankh khul gyi. is rishte k lye kisi ne b istikhara ni kraya. Mujhe please bataiye ke mere khwab ki kya taa'beer hogi. Mujhe bhot preshani hai.

Haraam taalluqaat

Q: Ayk ladki ko ladke se mohabbat hojati hai or wo us ladke ka hath pakarti he jab milte hen or pyar krti he means kisses on cheeks n wo dono aik dosre ki back me hath dalke chalte hn n wo ladki us ladke ko mohbat me apna jism bi dekadeti hai pictures send karke n ladka use apni nude pictures dekhadeta hai send karke.

1) Kia us ladki ko us ladke se nikaah karna lazmi hoga according to shareeiat because usne apna jism boy ko dekadia h pora ?

2) Agar wo ladki ka nikkah kisi or mard se hojata hai to kia ye jaiz nikkah hoga kyn ke wo pele h apni sharamgah jise wo mohabat karti hai us ladke ko dekachuki hai shadi se pele?

Dawa ke wajah se khoon nikalna

Q: پوچھنا یہ تھا کہ اگر کسی خاتون کو کبھی حیض آتا ھی نہیں ھے اور ڈاکٹر نے اسے دوائ تجویز کی، کہ جب وہ دوائ کھائے گی تو اسے خون ائگا اور جب وہ دوائ نہیں کھاتی ھے تو اسے اس مہینے خون نہیں آتا ۔۔۔ تو کیا دوائ کھانے سے جو خون آتا ھے اسے حیض مانینگے؟

Qur'an Shareef ki tawheen

س: توہین قرآن کہ سلسلے میں سوال ہے... گھر کی صفائی کہ دوران مجھے فرش پر ایک قرآنی ورق نظر آیا.... وہ شہید ہوا اور ایک آدھ انچ کا ورق تھا... اسے دیکھ کر مجھے سمجھ آ گیا کہ یہ قرآنی صفحہ ہے لیکن میں نے اسے اپنا وسوسہ سمجھتے ہوئے اس پہ جھاڑو لگا دیا....(وسوسے ایسے تھے کہ یہ قرآن ہے توہین ہو جائیگی وغیرہ ... مجھے چونکہ بہت وسوسے آتے ہیں تو اس وجہ سے میں یہ وسوسہ ہی سمجھا اور قرآنی ورق نظر آنے کہ باوجود اس پر سے جھاڑو لگا دیا ) جھاڑو لگانے کہ بعد یہ خیال دل میں اور پختہ ہو گیا کہ وہ قرآنی صفحہ ہی ہے... اسی ڈر سے اٹھا کر دیکھا تو وہ واقعتا وہی قرآنی ورق تھا.... جسے میں نے بعد میں اٹھا دیا.... ایسا کرنے سے کیا میں توہین قرآن کر گئی ہوں ؟؟؟ اور اب اس حوالے سے کیا احکام ہیں ؟؟؟ اور کیا اسطرح نکاح ختم ہو جاتا ہے ؟؟؟ جزاکم اللہ

Ghar khareedne ke ba'd wo paise jo account me rakha huwa he transfer se pehle, kya us par zakaat waajib he?

Q: Ayk masla poochna tha zakaat ka k hum teen dost hain. Teen ne mil ke plot lia tha. So un logo ne muje payment kar di thi plot lene ke lie aaj se koi 6 month pehlay but still payment mere account main hai or plot walon ko transfer ni ki main ne jis main meri apni payment bi hai or zakat ka time aa gia hai.

1. Kiya ye plot wali payment jo accnt main pari hai iss par zakat ho gi?

2. Agr ho gi to on do larkon par b ho gi , bcz ono ne to apni taraf se payment mje kar di thi 6 month pehlay or on k lehaz se payment plot walon ko transfer ho gi? Mean ke dono larkon ne muje 3, 3 lakh de die or mere apnay bhi 3 lack hain. Total huy 9 jin main se main ne aagy plot walay ko 3 lac de die. So mere pass bachay 6 lac... account main or zkat ka time aa gia hai so ab mje batain k zkat ka hukam is par kese lagay ga?

mean kuch points hain 1- sirf mj pe lagay gi zkat ? 2-on dono par b lagay gi ?kio k wo to apni taraf se ada kar chukay hain... 3- or agr sirf mj pe lagay gi to kitni raqam pe lagay gi is 6 lac main.