urdu

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khwaab me dekha ke mai janaat meh aankh bandh kar ke leta hu aur Allah Ta'ala ka didaar hone wala hai. Aawaaz arahe hai ke allah tala aa rahe hai. Mai bahut kush horahahu bas aankhe kholne wala tah achanak thode billiya mere chehre pe kudh padi aur muje kaat ne lagi mai une nikal teh huye neend se jaaggaya.

Mushtabah cheezo se parhez karna

Q: Mene jab fajar ki namaaz ke bad sooe to me ne subha 10 bje ke qareeb khuwab dekha ke me or meri bari behan ko kisi choudry type ke aadmi ne kidnap kar lia. Usse hamein apni izaat ka khtara tha. Phir hum kisi tara sy ussy rahai pe lyty he bina kisi nuqsan ke lekin phr dkhty hy yh sb hnny ke bd hmry khandan ke tamam log usi admi ke han dawat(feast) kha rhy huty he. Yeh baat mjhy or sister ko achi nahi lgti or roty bhi k usy ny hamary sth bura kia or hmry family waly usk whan dawat khaa rhy hyn. Phir me apni khala ko khuwab mn dkhti hun (jin ke betey k sth meri waildah mry ristey ka nazaira rkhti hyn lkn baqiaqah abhi dno trf sy koi bat nhi huii) unko dekh ker me roti hun ke ab woh mjhsey rista nhi krey gi or mry sarey khuwab barbad. Me itna shiddat sy khuwab me roti hun ke haqiqat mn bhi mri anku k ansu or roney ki awazein anny lgti hyn or phr meri asal me bhi roney ki wajha se ankh khul jati hy.

Khwaab me shaadi hote howe dekhna

Q: Me ne do, teen dafa khawab me meri shaadi hote hoye dikhi hun. Lekin kal achanak mere khawab me meri shaadi horaahi rahi, aur mujhe phool pahna rahe hai. Mere ammi jaan ka inteqal huckha hai teen saal pehle. Wo bhi khwaab me dikhey hai aur mujhe pakad kar ro rahe hai. Please aap mujhe is khawab ki tabeer batye.

Wasaawis owr shubuhaat

Q: Me na phly bhi sawal arsal ki tha ager aik aurt wehum our weswasay ki mareez ho quran sun rahi ho aur lufz (unfusihim) any par kisy weswasay ki waja sa khud kalami ma keh day yay to quran ka lafz ha yay to kah ja sukta ha alfaz serf etnay hi bolay zehen ma allah ki zat murad ho wo lufz bhi na bolay bus lufz son ker serf etna keh da ya to quran ka lufz kah ya to kah ja sukta ha zuban sa ya hi lufz ada kary baki wo lufz aur allah ki zat ka mutuliq weswsay ya khyal zahen ma ho to is ka kia kafara ha kia is sa iman our nikh pur aser ho ga jub ka mera kufer karna ka khial na tha bus wesway ki waja sa keh dea shitan mujy allah ka bary ma bury weswsay dal raha tha ma na apni taruf ya sooch ker ya to quran ka lufz ha our acha lufz ha alfaz keh deay mujy pata ha ya ba many jumla ha lakin mujy iman our nika ka bary ma wehum ho gaya ha mujy kuch nufseaty mesla hay jo khial zehn ma a jata ha wa zehn sa nahi niklta pleeeeeeez mujy is ka hal batain muj sa weswason ki waja sa ba mani sa jumaly nikul jaty ha halanka mera koi muksud nahi hota pher mujy apny lman our nikha ki feker ho jaty ha pleez mujy batain asy halat may main kia kron ma bary tention ma ho our dosra jumla ma bolnay to ya lagi thi khana kaba ki tarf monh ker ka nahi thokna nahi cahyeh lakin ma na do teen bar ya keh dea khana kaba ki trf monh ker kay thokna chahy nahi yani nahi bad ma kaha chahey phly keh dea ma na gult jumla bol dea ha is ki waja sa mujhey itny den sa tention ma hon phir meney socha kay tention leney say behtar hai app say rahunamai hasil karoon.

Tattoo ku nikaalna

Q: Maine recently apne baazu pay ek apne naam ka tatto banvaya joki mjhe pata thi ye haraam hai. Bas ye mera bachpana tha. Mai bohat pareshan hu tabsay kyun ki mjhe aisa nahi karna chahye tha mera dil sach mai toot gaya hai. Sun nay mai aya ki is douran gusal durust nahi hai aur namaaz bhi durust nahi hai. Mai bohat pareshan hu. Pleaseis ka hal bata do aur kya touba karne se Allah mia maaf karenge mai kabhi aisi galati nahi dohraunga.