Namaaz owr sajda-e-sahw ke baare me kuch suwaalaat
Q: Namaaz me agar sahk hone pe kuch dobaara parh liya jaye to kya sajda-e-sahw krna ho ga jeyse surah faatihah durood tashhud waghaira me lage ke kuch reh gaya he to poora dobaara parhne pe.
Agr namaaz me tilaawat karne ke bad tarjama socha jaye to dair hone pe sajda-e-sahw karna ho ga?
Agar shak ho ke ayk sajda reh gaya he to karliya jaye magar teen gaye ho to kya sajda-e-sahw karna ho ga?
Bata di jiye ke akheeri rakat ma wudhu tootne wala ho to kya tashhud ke bad chota durood parh ke salaam pher sakte he?
Wudhuzu ke bad agar nakhoon me ya jism pe kuch laga reh jaye to use saaf karne ke bad us jaga paani bahaana zaroori he?
Agar wuzu ya ghusal karte huwe in ke qatry us paani me gir jaye jis se wudhu ya ghusal kar rahe he to usi paani se wudhu ya ghusal jaari rakh sakte he?
Agar nahi to kya kya jaye qataraat to akheer tak girte rehte he?